Wednesday, March 25, 2026


Author: Charles Spurgeon
Translator: Stephen Raza

Luke 22:48

"Kya tu bosa le kar Ibn-e-Adam ko pakarwata hai?"
"Dushman ke bose ba-ifraat hain". Jab dunya mohabbat ka libada odhe, to humein chaukanna ho jana chahiye, kyunke agar mumkin hua to yeh mujhe bhi waise hi dhoka de gi jaise is ne mere Maalik ko ek bose ke sath dhoka diya tha. Jab bhi koi shakhs deen par waar karne ke darpe hota hai, to woh umooman pehle isi tarah ki bari aqeedat ka izhaar karta hai. Humein us chikni chupri riyakari se bachna chahiye jo bidat aur be-deeni ki alam-bardar hai. Narasti ke fareb ko bhanpte hue, humein saanp ki tarah hoshiyar rehna chahiye taake dushman ki chalon ko pehchan kar un se bach sakain. Kitab-e-Muqaddas mein humein ek aise nadan ki misal bhi milti hai jo ek ajnabi aurat ke bose ki wajah se gumrah ho gaya tha. Kaash aaj ke poore din mein, meri jaan ko Khuda ke fazl se aisi tarbiyat mile ke dunya ki "chikni chupri baaton" ka mujh par koi asar na ho. Ae Rooh-ul-Qudus! Mujh ghareeb aur kamzor ko dunya ke bose ke fareb se bacha! Lekin kya hoga agar main halakat ke farzand Yahuda Iskarioti ki tarah isi laanti gunah ka murtakib thehroon? Main ne Khudawand Yeshu ke naam par baptism liya hai aur main us ki zahira kaleesiya mein shamil bhi hoon. Main Khudawand ki paak meiz par baithta hoon, yeh sab mere liye bose hi to hain. Kya main in mein mukhils hoon? Agar nahi, to main bhi waisa hi ek ghadar hoon. Kya main dunya mein doosron ki tarah laparwahi se zindagi guzarta hoon aur phir bhi Masih ka peirokar hone ka dawa karta hoon? Agar aisa hai, to main Masihiyat ka az-khud tamaskhur udata hoon aur logon ko us muqaddas naam ki bad-goi karne ki taraf mail karta hoon jis se main mansoob hoon. Yaqeenan agar main is tarah ke tazad ke sath zindagi guzarta hoon to main us Yahuda Iskarioti se kam nahi, aur aisi surat mein mere liye yahi behtar hota ke main kabhi paida hi na hota. Kya main yeh umeed rakh sakta hoon ke main is maamle mein paak hoon? To phir ae Khudawand, mujhe aisa bana de ke main apne Khudawand ke sath kabhi bewafai na karoon. Ae Khudawand, mujhe mukhils aur sacha bana. Mujhe har jhooti raah se mehfooz rakh. Mujhe kabhi apne Munji se ghadari na karne de. Ae Yeshu, main har cheez se barh kar tujh se mohabbat rakhta hoon, aur agarcheh main aksar tujhe dukh deta hoon, phir bhi meri yahi khwahish hai ke jaan dene tak wafadar rahoon. Ae Khuda, aisa na ho ke main buland-o-baang dawe karne wala shagird banne ka elaan karne ke bawajood bil-akhir aag ki jheel mein ja giroon, kyunke main ne bhi kai baar apne Maalik ko bose ke sath dhoka diya tha.

John 3:13

"Ibn-e-Adam".
Hamara Khudawand kitni kasrat se apne liye "Ibn-e-Adam" ka laqab istemal karta tha! Agar woh chahta to woh hamesha apne aap ko Ibn-e-Khuda, Ajeeb, Musheer, Khuda-e-Qadir, Abadiyat ka Baap, ya Salamti ka Shehzada bhi keh sakta tha. Lekin Yeshu ki farotni dekhiye! Woh khud ko Ibn-e-Adam kehna zyada pasand karta hai. Humein apne Munji se aajzi ka sabaq seekhna chahiye aur humein kabhi bare alqabaat, manasib ya takabburana degreeon ki khwahish nahi karni chahiye. Albatta, is laqab ke andar is se barh kar bhi ek umda khyal paya jata hai. Yeshu insaniyat se itni mohabbat karta tha ke use is ki izzat-afzai kar ke khushi milti thi. Aur chunke yeh ek bara aizaaz hai, balkeh insaniyat-o-adamiyat ki sab se bari azmat hai ke Yeshu Ibn-e-Adam hai, isi liye woh aksar is naam ka izhaar karta hai taake woh insaniyat ke seene par aasmani sitaron ke tamghe saja sake aur Nasl-e-Abraham ke liye Khuda ki mohabbat ko zahir kar sake. Ibn-e-Adam, jab kabhi us ne yeh lafz kaha, us ne Adam ki sari aulad ke sar ke gird goya ek noorani haala bikher diya. Phir bhi shayad ek aur intihi qeemti khyal baqi hai. Yeh naam us ki kamil bashriyat ka elaan hai. Yeshu Masih ne apne logon ke sath apni yaganagat aur hamdardi ke izhaar ke liye khud ko Ibn-e-Adam pukara. Is tarah woh humein yaad dilata hai ke woh ek aisi hasti hai jis ke paas poori nasal-e-Adam bagehir kisi khauf ke aa sakti hai. Adam ki aulad hone ke nate, hum apne sare dukh dard aur museebatein us ke paas la sakte hain, kyunke woh shakhsi tajurbe se unhein jaanta hai. Chunke woh khud "Ibn-e-Adam" ke taur par dukhon se guzra hai, is liye woh hamari madad aur tasalli par qadir hai. Ae mubarak Yeshu, teri jay ho! Chunke tu hamesha woh pyara naam istemal karta hai jo is haqiqat ka ghammaz hai ke tu hamara bhai aur qareebi rishtedar hai, tera yeh naam hamare liye tere fazl, teri aajzi aur teri mohabbat ki ek anmol nishani hai.
Zara dekho, Masih ki mohabbat ajeeb
Ke woh hum se kare mansoob khud ko
Goya woh apni marzi aur khushi se
Hamare sath apni pehchan qaim karna chahe bahut!
Apne naam-e-muqaddas ko zameen sari par
Yunhi sunna aur kehna pasand hai use
Woh yaqeenan hamare jaisa bana,
Ke us mein ho kar sare bani Adam
Us jaise Ibn-e-Khuda ban jayain!
3