Thursday, March 26, 2026


Author: Charles Spurgeon
Translator: Stephen Raza

John 18:8

"Yesu ne jawab diya pas agar mujhe dhundte ho to inhein jane do."
Ae meri jaan! Zara us fikr par ghaur kar jis ka izhaar Yesu ne apni azmaish ki mushkil ghari mein apni bheron ke liye kiya! Maut ke waqt bhi wahi ghalib jazba poori aab-o-tab ke sath maujood hai. Woh apne aap ko to dushman ke hawale kar deta hai, lekin apne shagirdon ko azad karne ke liye qudrat ka kalam darmiyan mein lata hai. Jahan tak us ki apni zaat ka talluq hai, woh us bher ki manand hai jo apne baal kutarne walon ke samne be-zaban rehti hai aur apna munh nahi kholti, lekin apne shagirdon ki khatir woh Qadir-e-Mutlaq ki quwwat ke sath kalam karta hai. Yahi woh mohabbat hai jo mustaqil, khud ko bhula dene wali aur wafadar hai. Lekin kya yahan is zahiri mafhoom se kahin barh kar kuch aur maujood nahi hai? Kya in alfaz mein humein kaffare ki asl rooh nahi milti? Accha charwaha bheron ke liye apni jaan deta hai, aur iltija karta hai ke us ke badle inhein jane diya jaye. Zamin jakra hua hai, aur adl ka taqaza hai ke jin ka woh ewzi bana hai, unhein jane diya jaye. Misr ki ghulami ke darmiyan, woh awaz qudrat ke kalam ke taur par goonjti hai ke "Inhein jane do." Gunah aur shaitan ki ghulami se masah shuda logon ko bahar aana hi hota hai. Mayusi ke qaid-khanon ki har kothri mein isi awaz ki goonj sunayi deti hai ke "Inhein jane do", aur tab hi be-himti ke mare aur sahme hue log bahar nikal aate hain. Shaitan is jani pehchani awaz ko sunta hai aur gire huon ki gardan se apna paon utha leta hai. Maut is awaz ko sunti hai, aur apne murde de deti hai. Un ka rasta taraqqi, pakizagi, fatah aur jalal ka rasta hai, aur koi bhi unhein rokne ki jurat nahi kare ga. Un ki raah mein koi sher na hoga aur na hi koi daranda wahan charhe ga. "Subh ki harni" (Masih) ne zalim shikariyon ko apni taraf mail kar liya hai, aur ab maidan ki nihayat darpok harniyan aur ahoo us ki mohabbat ke sosno ke darmiyan poore itminan se char sakte hain. Garajdar badal Calvery ki saleeb par phat chuka hai, aur Siyon ke musafir ab kabhi intiqam ki bijliyon se halak nahi honge. Aa, ae mere dil! us makhlasī par khushi mana jo tere fadya dene wale ne tere liye hasil ki hai, aur tamam din balkeh har roz us ke naam ko mubarak keh.

Mark 8:38

"Ibn-e-Adam bhi jab apne baap ke jalal mein pak frishton ke sath aaye ga."
Agar hum Yesu ki sharmindagi mein us ke shareek rahe hain, to hum us noor mein bhi us ke sathi honge jo us ke jalal mein dubara zahir hone ke waqt us ke gird chaya hoga. Ae mere aziz! Kya tu Masih Yesu ke sath hai? Kya ek zinda talluq ne tujhe us ke sath jor rakkha hai? Agar aisa hai, to aaj tu us ki ruswayi mein us ke sath hai kyunke tu ne us ki saleeb uthayi hai, aur us ki malamat ka tokra apne sar par rakkhe hue khaima-gah ke bahar us ke sath nikal gaya hai. Is liye, be-shak tu us waqt bhi us ke sath hoga jab saleeb ke badle shahi aur jalali taj mile ga. Lekin aaj shaam apna khud-muhasiba kar kyunke agar tu nayi paidaish mein us ke sath nahi hai, to tu us waqt bhi us ke sath na hoga jab woh apne jalal mein aaye ga. Agar tu rafaqat ke tareek pehlu se khaif ho kar peeche hat-ta hai, to tu us ke roshan aur pur-masarrat daur ko bhi nahi paye ga, jab woh badshah apne poore jilo ke sath aaye ga aur tamam muqaddas farishte us ke sath honge. Kya farishte us ke sath hain? Aur phir bhi us ne farishton ko nahi apnaya balkeh Abraham ki aulad ko apnaya. Kya muqaddas farishte us ke sath hain? Aa, ae meri jaan! Agar tu waqai us ki mehbooba hai, to tu us se door nahi reh sakti. Agar us ke doston aur parosiyon ko us ka jalal dekhne ke liye ikatha kiya gaya hai, to zara soch ke tera kya maqam hai jabkeh tu us ki mankuha dulhan hai? Kya tu us se door rahe gi? Agarcheh woh adalat ka din hoga, phir bhi tu us dil se juda nahi ho sakti jis ne farishton ko to qurbat bakhshi hai, lekin tujhe apne sath ek kar liya hai. Ae meri jaan! Kya us ne tujh se yeh nahi kaha ke "Main tujhe sadaqat aur adalat aur shafqat-o-rehmat se apni namzad karoon ga."? Kya us ke apne honton ne yeh nahi kaha ke "Main tera shohar hoon aur meri khushi tujh mein hai"? Agar farishte, jo mahz dost aur parosi hain, us ke sath honge, to yaqini baat hai ke us ki apni pyari "Hephzibah" (suhagan) jo us ki sari khushi ka muhwar hai, us ke qareeb hogi balkeh us ke dahni hath baithe gi. Yeh tere liye umeed ka ek aisa roshan sitara hai, jis ki chamak tere tareek tareen aur weran tareen lamhe ko bhi poori tabani ke sath munawwar kar sakti hai.
6