Hebrews 5:7
"Khuda tarsi ke sabab se us ki suni gayi."
Kya yeh Khuda tarsi is andeshe se paida hui thi ke use saleeb par kyun mukammal taur par chor diya gaya? Azmaishain to is se bhi kai guna sakht ho sakti hain, lekin yaqeenan mukammal taur par tanhaa chor diya jana bad-tareen azmaisho mein se ek hai. Shaitan ne kaha hoga ke "Dekh, ab tera kahin koi dost nahi raha! Tere baap ne bhi tere liye apni pidrana shafqat ke darwaze band kar liye hain. Us ki bargah se koi farishta teri madad ke liye ab nahi aaye ga. Sara aasman tujh se begana ho gaya hai aur ab tu akela aur mere reham-o-karam par hai. Un sathiyo ko dekh jin ke sath tu meethi meethi baatein kiya karta tha, woh tere kis kaam ke hain? Ae Ibn-e-Maryam! Dekh wahan tera bhai Yaqub, dekh wahan tera pyara shagird Yuhanna, aur tera bahadur rasool Patras, yeh sare buzdil kaise khwab-e-khargosh ke maze le rahe hain aur idhar tu apne dukhon se nidhaal hai! Dekh! Zameen ya aasman par tera koi dost baqi nahi raha. Sara jahanum tere khilaf hai. Main ne apni shaitani quwwaton ko mutaharrik kar diya hai. Main ne sare ilaqon mein apne paigham rasan bhej kar tariki ke har ek hakim ko talab kar liya hai ke aaj raat tujh par dhawa bol dain, aur hum koi kasar nahi chorain ge, hum tujhe maghloob karne ke liye jahanum ki sari quwwatein barue-kar layain ge. Bata ab tu kya kare ga, ae tanhaa reh jane wale?" Mumkin hai ke yahi woh azmaish thi halankeh bataya gaya hai ke ek farishte ka zahir ho kar use taqwiyat dena is haulnak kaifiyat ko door karne ka baais bana. Khuda tarsi ke sabab se us ki suni gayi aur ab woh mazeed tanhaa nahi tha, balkeh poora aasman us ke sath tha. Mumkin hai ke yahi wajah ho ke woh teen baar apne shagirdon ke paas aaya jaise Khuda ka banda Hart kehta hai ke:
"Bhaga woh aage peeche teen baar,
Doobta jaise dhoonde tinke ka sahara."
Woh khud dekhna chahta tha ke kya waqai yeh sach hai ke use sab ne yakdum chor diya hai. Aur phir waqai us ne un sab ko sote paya. Lekin shayad use is khyal se kuch halki si tasalli mili ke woh ghaddari ki wajah se nahi balkeh anjane ki wajah se so rahe the. Us ki apni rooh to mustaid thi magar jism kamzor parta ja raha tha. Bahar-surat, Khuda tarsi ke sabab se us ki suni gayi. Yeshu ki us ke gehre tareen dukh mein suni gayi aur ae meri jaan! Teri bhi zaroor suni jaye gi.
Luke 10:21
"Usi ghari woh Ruh-ul-Qudus se khushi mein bhar gaya."
Hamara Munajji "Mard-e-Ghamnak" tha, lekin har sahib-e-shaoor is haqiqat se bakhubi waqif hai ke apni rooh ki gehraiyo mein woh pakiza aur aasmani khushi ka ek lazawal khazana rakhta tha. Poori nasal-e-insani mein se kabhi koi aisa shakhs nahi hua jis ke paas hamare Khudawand Yeshu Masih se zyada gehra, khalis aur mustaqil itminan raha ho. Likha hai ke "Khuda ne khushi ke tail se us ke sathiyo ki ba-nisbat use zyada masah kiya". Us ki yeh gehri khushi hum insano ke sath us ki azeem mohabbat aur shafqat ka shakhsana hai kyunke jahan mohabbat zyada ho wahan khushi bhi zyada hoti hai. Us ne kai khaas moqon par apni is khushi ka khul kar izhaar bhi kiya. "Usi ghari woh Rooh-ul-Qudus se khushi mein bhar gaya aur kehne laga Ae Baap aasman aur zameen ke Khudawand! Main teri hamd karta hoon". Masih ka dil Khuda ki hamd se sarshaar rehta tha aur yeh us ki khushi ka ek aur sabab tha. Itne dukhon ke bawajood woh doosron ki hausla afzai karta aur un ke dukhon ka madawa karta raha halankeh us ka apna chehra bigar gaya aur us ka sara husn maand par gaya to bhi us bari khushi ki khatir jo us ki aankhon ke samne thi us ne yeh sab dukh saha. Is maamle mein, Khudawand Yeshu zameen par maujood apni kaleesiya ki ek mubarak tasveer pesh karta hai. Is waqt kaleesiya apne Khudawand ke sath ek pur-khaar raste par rawan dawan hai jise Calvery ya saleeb ka rasta kaha jata hai kyunke us ke liye bhi museebatein seh kar aasman ki badshahi mein dakhil hona zaroori hai. Saleeb uthana us ka nasb-ul-ain hai, aur apne madar-zad bhaiyon ki taraf se haqeer samjha jana aur pardesi shumar kiya jana us ka muqaddar hai. Magar phir bhi kaleesiya ke paas khushi ka ek aisa chashma hai, jis se us ke apne farzandon ke siwa koi nahi aasuda nahi ho sakta. Hamare Yarushalam ke darmiyan may, tail aur anaaj ke woh zakhire chupe hue hain jin par Khuda ke muqaddasin hamesha kuch na hone ke bawajood parwarish pate hain, aur hamare Munji ki tarah, humein bhi wahin se haqiqi aur bari khushi ke moqe muyassar aate hain, kyunke woh "yak aisa darya hai jis ki shakhon se Khuda ke shehar ko yani Haqq Taala ke muqaddas maskan ko farhat hoti hai". Is sabab se, hum jala-watan aur pardesi hote hue bhi, apne badshah mein khushi manate aur intihi shadmaan hote hain, balkeh dili musarrat ke sath us ka jhanda ooncha karte aur qaumon ke samne us ki hamd bayan karte hain.