Luke 22:44
"Us ka pasina goya khun ki badi badi bunden ho kar zamin par tapakta tha."
Is badi azmaish ke sath kashmakash ki wajah se paida hone wale zehni dabao ne hamare Khudawand ke badan ko is qadar ghair-fitri kaifiyat se dochar kar diya ke us ke masamon se khun ki badi badi bunden goya pasine ki tarah nikal kar zamin par girne lagin. Yeh is baat ka sabut hai ke gunah ka bojh kitna haulnak raha hoga jis ne munajji ko is qadar ghail kar diya ke us ke badan se goya khun risne laga! Yeh us ki muhabbat ki azim qudrat ka be-misal mazhar hai. Qadim mahir-e-ilahiyat Isaac Ambrose ka yeh ek nihayat khubsurat mushahida hai ke woh gond jo darakht se kisi katao ke bghair khud-ba-khud nikalti hai, woh hamesha behtarin hoti hai. Mehndi ka yeh qimti pauda tab to nihayat shirin khushbuen deta hi tha jab woh kodon se zakmi hua ya jab salib par kilon se cheda gaya. Lekin dekhen, yeh apni behtarin khushbu tab de raha hai jab na koi koda hai, na keel aur na hi koi zahiri zakm. Yeh halat Masih ke dukhon ki razakarana nauiyat ko zahir karti hai, kyunke kisi neze ke bghair hi khun rawani se beh nikla. Us ke badan ko ghail karne ki koi zarurat na padi balki us ka lahu khud-ba-khud behne laga tha. Hakimion ko yeh pukarne ki zarurat nahin ke "Ae chashme, jari ho ja" balki yeh chashma to aap hi aap ab-e-rawan ki tarah beh raha hai. Aam taur par jab insan shadid zehni karb se guzarta hai to us ka khun wapas dil ki taraf lapakta hai, gaal zard pad jate hain aur ghashi tari hone lagti hai. Goya azmaish ke waqt khun bhi insan ki ruh ko taqwiyaat dene ke liye andar ki taraf behne lagta hai. Lekin hamare munajji ko us ki jan-kani mein dekhen. Woh apni zat se is qadar be-khabar hai ke us ka karb khun ko dil ki taraf nahin balki bahar ki taraf dhalelta hai take zamin ko sairab kare. Masih ka yeh karb us ki kamil qurbani ki taswir pesh karta hai jis ka khun bagh-e-Gatsmani se hi behna shuru ho gaya tha. Kya ham is baat ko mahsus nahin karte ke woh kitni shadid jiddo-jehad thi jis se woh guzra? Aur kya ham us ki awaz ko nahin sunen ge jo hamen pukar rahi hai? "Tum ne gunah se ladne mein ab tak aisa muqabla nahin kiya jis mein khun baha ho." Apne iqrar ke us azim rasul aur sardar kahen ko dekhen, aur apne azmane wale dushman ke samne jhukne ki bajaye apna khun pasine ki tarah behane ke liye tayyar rahen.
Luke 19:40
"Main tum se kehta hun ke agar yeh chup rahen to patthar chilla uthen ge."
Lekin kya patthar chilla sakte hain? Agar woh jo gungon ka munh khol dene ki qudrat rakhta hai unhen apni awaz buland karne ka hukm de to yaqinan woh bhi chilla uthen ge. Bila shubha agar woh bolte, to un ke pas us ki hamd mein gawahi dene ke liye bahut kuch hota jis ne unhen apni qudrat ke kalam se paida kiya tha. Woh apne khaliq ki hikmat aur qudrat ki sataish kar sakte the jis ne unhen adam se wajud mein bulaya tha. Kya ham us ki tarif na karen ge jis ne hamen naye sire se paida kiya aur goya pattharon se Abraham ke liye aulad paida kar di? Qadim chatanen purani nishaniyon ke asar ke bare mein bata sakti hain, aur takhliq ke manzarname par raunuma hone wale pay-dar-pay marahil ke dauran Khuda ki karigari ko sabit kar sakti hain, to kya ham Khuda ke hukmon, Khuda ke azim karnamon aur un sare kamon ke bare mein bata nahin sakte jo us ne guzre hue dinon mein apni kalisiya ke waste kiye hain? Agar patthar bolte, to woh apne us karigar ke bare mein bata sakte the jis ne unhen kaan se nikala, toda aur haikal ke liye mauzun banaya, to kya ham apne azim karigar ke bare mein nahin bata sakte jis ne hamare dilon ko apne kalam ke hathode se tod diya take woh hamen apne muqaddis ke andar tamir ka hissa bana sake? Agar patthar chilla uthte to woh apne muamar ki badai karte jis ne unhen surat bakhshi aur shahi mahal ki tarah sanwara, to kya ham apne muamar aur banane wale ki baat na karen jis ne hamen zinda Khuda ki haikal mein apni makhsus jagah aur khidmat par faiz kiya hai? Agar patthar chilla sakte to un ke pas yadgar ke taur par sunane ke liye ek tawil dastan hoti, kyunke kai baar Khudawand ke huzur yadgar ke taur par bade bade patthar rakkhe gaye, jo Ibn-e-Ezer jaise madad ke pattharon aur yadgar ke sutunon ki tarah zinda Khuda ki gawahi de sakte the. Das ahkam ki tuti hui patthar ki lauhin hamare khilaf chillati hain, lekin Masih khud jis ne qabr ke darwaze se patthar hata diya, hamare haqq mein kalam karta hai. Patthar beshak chilla sakte hain, lekin ham unhen aisa karne nahin den ge. Ham apni awaz se un ke shor ko khamosh kara den ge. Hamari sadain muqaddas naghmat ki surat mein goonjen gi aur ham Haqq Ta'ala ke azmat ko bayan karen ge. Ham apni zindagi ke baqi sare ayyam mein us ki tamjid karen ge jise Yaqub ne Israel ka charwaha aur patthar kaha hai.