Galatians 3:26
"Kyunke tum sab us imaan ke wasila se jo Masih Yasu mein hai Khuda ke farzand ho."
Khuda ki pidriyat us ke tamam farzandon ke liye yaksan hai. Ah! Ae kamzor imaan wale, tu ne aksar kaha hai ke "Kash mujh mein bhi waisa hi hausla hota jaisa bade dil wale surmaon mein paya jata hai. Kash main bhi un ki tarah talwar chala sakta aur waisa hi bahadur hota! Lekin afsos, main to har tinke se thokar khata hun aur mahz ek saya mujhe dara deta hai." Zara sun, ae kamzor imaan wale! Woh bahadur surma bhi Khuda ka farzand hai aur tu bhi Khuda ka farzand hai. Woh bahadur admi tujh se ratti barabar bhi zyada nahin. Patras aur Paulas jaise barguzida rasul Haqq Ta'ala ke khandan se the aur tu bhi isi khandan ka chashm-o-charagh hai. Yeh ek haqiqat hai ke kamzor Masihi bhi utna hi Khuda ka farzand hai jitna ke koi mazbut Masihi kyunke muamla iman ka hai.
Yeh ahd mazbuti se qayam hai,
Khwah zamin ke purane sutun jhuk jayen,
Mazbut, natawan aur kamzor,
Ham sab Masih mein ek hain.
Kisi bade khandan ke indiraj mein sare nam yaksan darj hote hain. Ho sakta hai ke kisi ke pas dusre se zyada fazl ho, lekin hamare asmani bap ka shafiq dil sab ke liye ek jaisa hai. Mumkin hai ke koi zyada bade kam kare aur apne bap ke liye zyada bade jalal ka bais bane, lekin woh jis ka nam asman ki badshahi mein sab se chota hai, woh bhi utna hi Khuda ka farzand hai jitna ke woh jis ka shumar surmaon mein hota hai. Jab ham Khuda ke qarib ate aur use "Ae hamare bap" kah kar pukarte hain, to is bat se hamen hausla aur tasalli milti hai. Albatta, jahan hamen yeh jan kar tasalli milti hai, wahin hamen kamzor iman par qanaat nahin karni chahiye, balki rasulon ki tarah ise badhane ki dua karni chahiye. Hamara iman kitna hi natawan kyun na ho, agar woh Masih par haqiqi iman hai, to ham akhir-kar asman tak pahonch hi jayenge, lekin ham us ke bal-boote par apni is musafarat mein apne malik ko zyada izzat aur jalal na de sakenge aur na hi hamari zindagi khushi aur itminan se mamur hogi. Pas, agar ap Masih ke jalal ke liye jina chahte hain aur us ki khidmat mein khush rahna chahte hain, to is bat ki justuju karen ke ap Ruh-ul-Qudus se mamur hokar iman ki nemat se mulabbas hon.
John 15:9
"Jaise Baap ne mujh se muhabbat rakhi waise hi main ne tum se muhabbat rakhi."
Jaise bap apne aklaute bete Yasu se muhabbat rakhta hai, ain usi tarah Yasu apne logon se muhabbat rakhta hai. Woh ilahi tariqa kya hai? Us ne apne bete se aisi muhabbat rakhi jis ka koi nuqta-e-aghaz nahin tha yani azli muhabbat, aur isi tarah Yasu apne logon se muhabbat rakhta hai. "Main ne tujh se abadi (azli) muhabbat rakhi hai". Ap insani mihrbani ke aghaz ka suragh laga sakte hain, ap Masih se apni muhabbat ki shuruat ke maqam tak asani se pahonch sakte hain, lekin jo muhabbat Masih ne ham se rakhi woh ek aisa hamesha jari rahne wala dhara hai jis ka manba azliyat mein poshida hai. Masih ke sath Khuda ki muhabbat la-tabdil hai. Ae Masihi! Apni tasalli ke liye ise jan le ke Yasu Masih ki muhabbat mein un ke liye kabhi koi raddo-badal nahin ata jo us mein aram pate hain. Kal tu Koh-e-Tabur ki choti par tha aur kaha ke "Yaqinan woh mujh se muhabbat rakhta hai" aur aj tu ek nashibi vadi mein hai, magar woh phir bhi tujh se waisi hi muhabbat rakhta hai. Koh-e-Misghar par aur Harmon ke pahadon ke darmiyan tu ne us ki awaz suni jo muhabbat ki fakhta jaisi komal, shirin aur madhur thi, par ab samundar par, ya samundar ke bichon-bich bhi, jab us ki sari lahren aur maujen tere upar se guzar rahi hain, tab bhi us ka dil apne azli chanida bande ke sath wafadar hai. Bap bete se aisi muhabbat rakhta hai jis ka koi ikhtitam nahin, aur isi tarah beta bhi apne logon se abadi muhabbat rakhta hai. Ae Khuda ke muqaddas bande! Tujhe chandi ki dori ke tutne ka dar nahin hona chahiye, kyunke tere liye us ki muhabbat kabhi khatm na hogi. Is yaqin ke sath sukun aur itminan pa ke qabr tak bhi Masih tere sath jaye ga, aur wahan se dobara ji uthne par woh asman ki badshahi tak tera rahbar-o-rahnuma hoga. Mazid yeh ke bap bete se bghair kisi paimane ke muhabbat rakhta hai, aur wahi be-inteha muhabbat beta apne barguzida logon ko bhi ata karta hai. Yasu ka sara dil apne logon ke liye waqf hai. Us ne "ham se muhabbat rakhi aur apne ap ko hamare waste de diya". Us ki muhabbat aisi hai jo fahm-o-idrak se bala-tar hai. Ah! Hamare pas fi-al-haqiqat ek ghair mutabaddal munji hai, ek qimti najat-dahinda, woh jo bghair kisi paimaish, tabdili, aghaz aur ikhtitam ke hamare sath muhabbat rakhta hai, bilkul waise hi jaise bap us se muhabbat rakhta hai! Is bhed ke andar un logon ke liye bahut se ruhani muqawwiyat pinhan hain jo ise hazm karna jante hain. Kash Khuda Ruh-ul-Qudus hamen is ki asl haqiqat aur gahrai tak le jaye!