Wednesday, February 25, 2026


Author: Charles Spurgeon
Translator: Stephen Raza

Matthew 3:7

"Aane wala ghazab."
Toofan-e-baad-o-baran ke baad kisi ilaqe se guzarna kitna bhala lagta hai kyunke barish thamne ke baad jari-bootiyon ki tazgi ko mahsoos karna aur un qatron ko dekhna kitna acha lagta hai jo suraj ki roshni mein khalis heeron ki tarah chamakte hain. Ek Masihi ki haalat bhi aisi hi hai. Woh ek aisi zameen se guzar raha hai jahan toofan us ke Munji Khudawand Yesu Masih ke sar par se guzar kar khatm ho chuka hai, aur agar gham ke chand qatre gir bhi rahe hain to ab woh abr-e-rahmat ke badlon se tapak rahe hain, aur Yesu use is yaqeen-dehani ke zariye hausla deta hai ke yeh qatre use barbad karne ke liye nahin hain. Lekin kisi toofan ko aate huay dekhna kitna haulnak hota hai jaise toofan se pehle ki nishaniyan dekhna ya aasman ke parindon ko dekhna ke woh dar ke mare kis tarah apne par latkaye huay hain, maweshiyon ko dekhna ke woh kis tarah dahshat se apne sar nihraye huay hain, aasman ka badalta rang dekhna ke woh kaise siyah ho raha hai, aur ek aise suraj ko dekhna jis ki tabani kahin kho chuki hai, aur phir us aasman ko jo intehayi mushtail ho kar goya teoriyan charha raha hai! Kisi samundari toofan ke khaufnak aaghaz ka intezar karna kitna haulnak hai, jaise baaz auqat garm ilaqon mein hota hai, aur is haulnak andeshe ke saath intezar karna ke kab hawa toofani andaz mein chale gi, darakhton ko un ki jaron se ukhaar de gi, chatann-on ko un ki jagah se hata de gi aur insan ke tamam rehne ke thikanon ko zameen-bos kar de gi! Aur phir bhi, ae gunahgar! Yeh teri maujooda haalat hai. Abhi tak aag ki garm chingariyan nahin girin, lekin aag ka toofan barsne ko hai. Abhi to koi khaufnak hawayin tere iird-gird nahin chal rahin, lekin Khuda ke ghazab ka toofan apna haulnak saman jama kar raha hai. Abhi tak sailab ka pani rahmat ke tufail ruka hua hai, lekin jald hi band khol diye jayein ge kyunke Khuda ki karak abhi us ke zakheera-khanon mein hai, lekin dekho! Toofan-e-ghazab tezi se aa raha hai, aur woh lamha kitna haulnak hoga jab Khuda, intiqam ki khilat pehne huay, apne qahar mein nikle ga! Ae gunahgar, tu apna sar kahan, kahan, kahan chhupaye ga, ya tu kidhar bhage ga? Kash ke rahmat ka haath ab tujhe Masih tak le jaye! Injeel mein woh haath khule dil se tere samne pesh kiya gaya hai kyunke us ka chhida hua pehlu goya panah ki chatan hai. Tu jaanta hai ke tujhe is ki zaroorat hai. Is liye, us par iman la, apne aap ko us ke hawale aur tabay kar de, aur phir woh ghazab tere upar se hamesha ke liye guzar jaye ga.

Jonah 1:3

"Lekin Yunah Khudawand ke huzoor se Tarsis ko bhaga aur Yafa mein pohancha."
Khuda ne Yunah ko Ninwah ja kar kalam sunane ka hukm diya lekin use yeh kaam pasand na aaya aur woh us se bachne ke liye Yafa chala gaya kyunke kabhi kabhi Khuda ke khadim bhi apni zimma-dariyon se jee churate hain lekin is ka natija kya nikla? Yunah ne apne is tarz-e-amal se kya khoya? Us ne Khuda ki huzoori aur us ki mohabbat se hasil hone wali khushi ko kho diya kyunke jab hum batur-e-imandar apne Khudawand ki khidmat karte hain to Khuda hamare saath hota hai aur agar Khuda hamare saath ho to poori duniya bhi hamari mukhalif ho jaye to kya farq parta hai? Lekin jaise hi hum peeche hatte aur apni man-mani karte hain hum us kashti ki tarah ho jate hain jis ka koi mallah na ho. Tab hum bare dukh se yeh keh sakte hain ke ae Khuda tu kahan chala gaya? Main kitna nadan tha ke teri khidmat se jee churaya aur is tarah tere chehre ki tajalli se mahroom ho gaya? Yeh bohat mehngi qeemat hai is liye mujhe wapas apni wafadari ki taraf lautna chahiye takay main teri huzoori se dubara shadman ho sakoon. Doosri baat yeh ke Yunah ne apne dil ka sukoon bhi kho diya kyunke gunah jald hi imandar ka itminan bhi cheen leta hai. Gunah us zehrile darakht ki tarah hai jis ke patton se zehrile qatre tapakte hain jo anjam-kar hamari zindagiyon se Khuda ki khushi aur itminan ko khatm kar dete hain. Yunah har us cheez se mahroom ho gaya jo use kisi aur surat mein tasalli de sakti thi. Woh Khuda ki muhafazat ke waade ka mutalba nahin kar sakta tha kyunke woh Khuda ke bataye huay raste par nahin tha. Woh yeh nahin keh sakta tha ke ae Khuda main apni zimma-dari nibhate huay in mushkilat ka samna kar raha hoon is liye meri madad farma. Woh to apni hi karni ka phal kaat raha tha aur apni hi raushon ka natija bhugat raha tha. Ae Masihi! Yunah wala kaam na kar warna tujhe bhi gham ki lahron ka samna karna pare ga. Kyunke aakhir-kar tujhe bhi yeh ehsas hoga ke Khuda ki marzi ko pas-e-pusht dalna aur us ke kaam se bachne ki koshish karna, us ke samne hathiyar dalne se kahin zyada mushkil aur haulnak hai kyunke Yunah ne apna hi waqt zaya kiya. Bil-akhir use jana hi para. Is liye Khuda se larna bohat dushwar hai aur humein furan us ke hukm par sar-e-tasleem kham kar dena chahiye. Isi mein hamari aafiyat aur najaat hai.
13