Ezekiel 34:26
"Main bar-waqt meenh barsaon ga. Barakat ki barish ho gi."
Yahan Khuda ki azeem rahmat ka zikr hai ke "Main bar-waqt meenh barsaon ga." Kya yeh Khuda ki khas rahmat nahin hai? Kyunke Khuda ke siwa aur kaun keh sakta hai ke "Main meenh barsaon ga"? Sirf ek hi awaz hai jo badlon ko barsne ka hukm de sakti hai. Zameen par barish kaun bhejta hai? Haryali par barsat ke qatre kaun bher-ta hai? Kya main Khudawand yeh sab nahin karta? Isi tarah fazl bhi Khuda hi ka inaam-o-ikram hai aur ise insan khud paida nahin kar sakta. Aur yeh fazl hamare liye bohat zaroori bhi hai. Barish ke baghair zameen ka kya haal hoga? Aap matti ke dalle torr sakte hain aur beej bhi bo sakte hain, lekin barish ke baghair aap kya kar payein ge? Khuda ki barkat bhi utni hi lazmi hai. Jab tak Khuda kasrat se barish na barsaye aur apni najaat na bheje, aap ki mehnat be-faida hai. Phir yeh kasrat wala fazl hai. Woh farmata hai ke "Barakat ki barish ho gi." Us ne yeh nahin kaha ke main sirf chand boondein bakhshon ga, balkay us ne "barish" ka waada kiya hai. Fazl ka maamla bhi aisa hi hota hai. Jab Khuda barkat deta hai, to woh aam taur par itni kasrat se deta hai ke ise samaitne ki jagah baqi nahin rehti. Kasrat ka fazl! Humein aajiz banne, dua mein mashghool rehne aur pakizgi hasil karne ke liye is kaseer fazl ki zaroorat hoti hai. Humein is zindagi mein sabit-qadam rehne aur aakhir-kar aasman tak pohanchne ke liye bhi yahi fazl darkaar hai. Fazl ki musla-dhaar barish ke baghair hamara guzara nahin. Yeh fazl bilkul sahi waqt par milta hai. Woh farmata hai ke "Main bar-waqt meenh barsaon ga." Aaj aap ka haal kaisa hai? Kya aap ki zindagi mein khushk-saali ka daur chal raha hai? To yahi woh waqt hai jab barish ki zaroorat hai. Kya dukh ke bojh aur gham ke siyah badal aap ki zindagi par chhaye huay hain? To yahi fazl ki barish ka waqt hai. Kalam kehta hai ke "Jaise tere din hon ge, waisi hi teri taqat hogi." Aur yahan tarah tarah ki barkaton ki barish ka zikr hai. Us ne farmaya hai ke "Barakat ki barish ho gi". Yahan lafz barish ka matlab hai ke Khuda har qism ki barkatein nazil farmaye ga. Khuda ki sari barkatein ek sunehri zanjeer ki kariyon ki tarah ek doosre se juri hoti hain. Agar woh dilon ko badalne wala fazl jari karta hai, to woh tasalli dene wala fazl bhi zaroor jari kare ga. Woh "barkaton ki barishein" bheje ga. Ae iman ke murjhaye huay paude, aaj apni nazrein upar utha aur us aasmani barish ko hasil karne ke liye apne patton aur phoolon yani apni zaban aur apne dil ko khol de.
Zechariah 1:12,13
"Ae Rabb-ul-afwaj tu Yarushalaim par kab tak raham na kare ga? ... Khudawand ne us farishta ko jo mujh se guftagu karta tha mulayam aur tasalli bakhsh jawab diya."
Yeh ek fikr-angez sawal par kaisa meetha jawab hai! Aaj ki raat aaiye hum is kalam mein shadman hon. Ae Siyun, tere liye bohat si achi cheezin tayyar hain, tere dukh ka waqt jald khatm ho jaye ga, teri aulad paida ho gi aur teri aseeri bhi jati rahe gi. Kuch waqt ke liye is saza ko sabr ke saath bardasht kar, aur tariki mein bhi apne Khuda par tawakkul rakh, kyunke us ki mohabbat tere liye mauj-zan hai. Khuda kaleesiya ke saath aisi mohabbat rakhta hai jo insani guman se bhi zyada ameeq hai kyunke woh use apne poore la-mahdood dil se pyar karta hai. Is liye us ke farzandon ko hausla rakhna chahiye ke woh unhein zaroor-ba-zaroor khush-hali se hum-kanar kare ga kyunke hamara Khuda "mulayam aur tasalli bakhsh" jawab deta hai. Yeh tasalli ki batein kaun si hain, aage chal kar Zakariya Nabi humein batata hai ke "Mujhe Yarushalaim aur Siyun ke liye bari ghairat hai." Khudawand apni kaleesiya se itni mohabbat rakhta hai ke woh us ki bargashtagi ko bardasht nahin kar sakta aur jab woh aisa karti hai, to phir woh yeh bardasht nahin kar sakta ke use bohat zyada ya bohat bhari dukh de. Woh apne dushmanon ko use satane nahin de ga aur un ke saath us ki dushmani sirf isi sabab se hai ke woh us ki musibat ko barhate hain. Jab aisa lagta hai ke Khuda ne apni kaleesiya ko bilkul chhor diya hai, tab bhi us ka dil us ke liye garma-joshi rakhta hai. Tareekh batati hai ke jab bhi Khuda apne khadmon ki islah ke liye lathi istemal karta hai, woh hamesha use baad mein torr deta hai, goya use us lathi se nafrat ho jis ne us ke farzandon ko takleef pohanchayi. "Jaise baap apne beton par taras khata hai, waise hi Khudawand un par jo us se darte hain taras khata hai." Khuda humein is liye nahin bhool gaya ke use hamari tarbiyat karna parti hai kyunke us ki tarbiyat mohabbat mein kami ki har giz daleel nahin. Agar yeh baat majmuayi taur par us ki kaleesiya par sadiq aati hai, to yeh lazmi taur par us ke har ek uzv par fardan fardan bhi sadiq aati hai. Ho sakta hai ke aap is baat se khaif hon ke Khudawand ne aap ko nazar-andaz kar diya hai, lekin aisa nahin hai. Woh jo sitaron ko ginta hai aur unhein banam pukarta hai, ise apne farzandon ko bhool jaane ka koi khatra nahin hai. Woh aap ke haal ko itna hi achi tarah jaanta hai jaise aap hi us ki ikloti makhlooq hon, ya us ki mohabbat ke layak wahid muqaddas shakhs hon. Aaiye isi iman aur tasalli ke saath us ke paas aayin aur itminan payin.