Isaiah 49:8
“Main … logon ke liye tujhe ehadd thehraaon ga.”
Har ehad ke jumla fazaail aur jauhar ka sarchashma Yesu‘ Maseeh khud hai. Wohi har imaandaar ka bakhra hai. Ai imaandaar, kya tu andaaza laga sakta hai ke Maseeh ke waseelay se tujh par kaun kaun sa fazl kiya gaya hai? “Aloohiyat ki saari ma‘moori usi mein mujassam ho kar sakoonat karti hai.”
Zara lafz “Khuda” aur us ki la-mehdoodiyat par ghour kar, neez phir “kaamil insaan” aur us ke saaray husn-o-jamaal par tawajjoh kar, kyun ke woh sab kuch jo bator-e-Khuda aur insaan Maseeh ke paas kabhi tha ya ho sakta hai, woh sab fazl ki bakhshish ke taur par teri daimi meeraas aur teray la-faani bakhray ke liye teray khatay mein muntaqil kar diya gaya hai.
Hamara mubarak Yesu‘, Khuda ke taur par hama-daan, hama-ja aur Qaadir-e-Mutlaq hai. Kya yeh amar teri sab se bari tasalli aur tashaffi ka ba‘is nahi ke yeh sab bari bari aur jalaali sifaat ab sarasar teri hain? Woh qudrat wala hai—wohi qudrat ab teray paas bhi hai taake tujhe sahaara aur quwwat bakhshe, taake tu apne dushmanon par ghaalib aaye aur tujhe aakhir tak bardasht karne ki himmat se maal-a-maal kare.
Kya woh muhabbat se bhara hai? To dekh, us ki dili muhabbat ka aik bhi qatra aisa nahi jo tera nahi. Tu us ki be-karaan aur be-payaan muhabbat mein ghota-zan ho aur is saari muhabbat ke baare mein ba-bang-e-duhal bata ke “yeh meri muhabbat hai”.
Kya woh insaaf karne wala hai? Agarche yeh aik karhi sifat hai, magar woh bhi teri hai, kyun ke woh apne insaaf ke taqaazay ki wajah se apni is khoobi ko bhi fazl ke ‘ahd ki raah se teri us mau‘oodah meeraas ke taur par dekhta hai jo zaroor-bil-zaroor teray liye mehfooz kar di gayi hai.
Aur aik kaamil insaan ke taur par bhi us ke paas jo kuch hai woh sab tera hai. Aik kaamil insaan honay ke naatay usay Khuda Baap ki khushnoodi haasil thi. Woh Khuda Ta‘ala ke huzoor maqbool thehra. Ai imaandaar, Maseeh ke liye Khuda ki qabooliyat ab teri qabooliyat hai, kyun ke jo muhabbat Baap ne us kaamil Maseeh ke saath rawa rakhi, wohi muhabbat ab woh tujh se rawa rakhta hai.
Jo kuch Maseeh ka hai woh sab tera hai. Woh kaamil raastbaazi jise Yesu‘ ne apni be-‘aib zindagi ke waseelay se Shari‘at ko poora kar ke apne liye aik ajr-e-ta‘zeem ke taur par haasil kiya, ab teri hai aur teray khatay mein daal di gayi hai. Is ehad mein Masih hai.
Ai mere Khuda, main hoon tera sada—yeh kaisi tasalli ki baat hai!
Meri yeh zindagi, jo Maseeh mein mili, us Munji ki di hui soghaat hai!
Aasmaani Barra, ai Khudawand mere, yeh teray lahoo ka kamaal hai,
Mili hai zindagi, woh teri mukhlisi, jo meri gunaah se najaat hai.
Luke 3:4
“Biyaabaan mein pukaarne walay ki awaaz aati hai ke Khudawand ki raah tayyaar karo.”
Biyaabaan mein pukaarne walay ki awaaz Khudawand ke liye aik raah, aik tayyaar raah, aur biyaabaan mein aik tayyaar raah ka mutaalba karti hai. Main is Maalik ke paighambar ka paighaam sunoon ga, aur us ke wastay apne dil ki raah tayyaar karoon ga, taake woh meray dil mein aaye aur meri zindagi par baadshaahi kare.
Is aayat ki chaar baatein meray liye nihayat ghour talab hain. Har aik ghaati bhar di jaye. Duniya-daari ke khayaalaat neeche aur Khuda ke khayaalaat oonche kiye jayein. Shak aur mayoosi jaati rahe. Khud-parasti aur nafsaani khwaahishain mauqoof ho jayein. Aur in sab ke beechon beech fazl ki shaahraah namoodaar ho.
Har aik pahaarr aur teela neechha kiya jaye. Mutakabbir khud-inhisari aur shekhi se bharpoor khud-raasti hamwaar ki jaye, taake woh Baadshaah ke Baadshaah ki guzar-gaah ho. Oonche khayaalaat baandhnay ya oonchi soch rakhnay walay gunahgaaron ko ilahi rifaqat kabhi naseeb nahi hoti. Khudawand farotan ki izzat ko barhaata aur dil se rujoo laanay walay ke paas aata hai, magar maghroor us ki nigaah mein makrooh hain.
Ai meri jaan, Rooh-ul-Qudus se iltija kar ke woh tujhe raah-e-mustaqeem par chalnay ki taleem de. Jo teerha hai woh seedha kiya jaye. Har aik daanwaan-dol zindagi raah-e-raast par chalnay ka faisla kare aur Khuda par pukhta imaan aur paakeezgi us ka khaasah ho. Sachchaai ka Khuda do dilon se koi waaqifiyat rawa nahi rakhta. Ai meri jaan, hosh mein aa aur sab baaton mein imaandaari aur sachchaai par qaayam reh, taake dilon ko parkhnay aur jaanchnay walay Khuda ki nazar mein maqbool ho.
Naahumwaar jaghon ko hamwaar kiya jaye. Gunaah ke thokar dilaane walay pathar hataaye jayein aur sarkashi ke oont-kataaray aur jhaariyaan ukhaar di jayein, taake jab Shaah-e-Azeem ki sawaari guzray to usay pooray raastay mein kahin koi daldal aur pathreeli zameen dikhayi na de.
Kaash aaj ki shaam, jab mera Faateh Khudawand apne pooray jalwa mein meray paas aaye, to meray dil ki raah ko tayyaar paaye, aur yeh raah saal ke shuru se aakhir tak us ke liye hamesha khuli rahe.