Tuesday, January 13, 2026


Author: Charles Spurgeon | Translator: Stephen Raza

1 Kings 22:48

“Yahoshafat ne Tarsees ke jahaaz banaye taake Ofeir ko sone ke liye jaayen, par woh gaye nahin kyunke woh (jahaaz) Asyon Jabar hi mein toot gaye.”
Suleman ke jahaaz bakhair o aafiyat laut aaye thay, magar Yahoshafat ke jahaaz sone ki sarzameen tak pohanch hi na sakay. Aik hi kaam mein, aik hi maqam par, qudrat aik ko kamyaab karti hai aur doosre ki tadbeer ko nakaam hone deti hai, aur is ke bawajood Haakim-e-Aala yani Yahowa Khuda har waqt apni hikmat aur maslihat mein hamesha yaksaan rehta hai. Aaj hamein is kalaam ki yaad mein yeh fazl ata ho ke hum Asyon Jabar mein tootne wale jahaazon par bhi Khudawand ko mubarak kahein, jaise hum aarzi barkaton se laday hue jahaazon par us ki shukarguzari karte hain. Zyada kamyaab logon se hasad na karein aur na apne nuqsaan par yun barbaraein goya yeh aazmaish khaas hum par hi naazil hui ho. Apni tadbeeron ke nakaami aur mayoosi par muntaj hone ke bawajood hum Yahoshafat ki tarah Khudawand ki nazar mein besh-qeemat ho sakte hain. Yahoshafat ke nuqsaan ki posheeda wajah qaabil-e-ghaur hai, kyunke yahi Khuda ke bohat se logon ke dukhon ki jarr banti hai, yani gunahgaar khandaan ke saath us ka ittehaad aur khatakaaron ke saath rifaqat. Do Tawareekh 20:37 mein bataya gaya hai ke Khudawand ne aik nabi ko bheja jis ne elan kiya ke chunke tu ne Akhziyah ke saath ittehaad kar liya hai is liye Khudawand ne tere banaye hue kaamon ko tor diya hai. Yeh baap ki si tanbeeh aur taadeeb thi jo bazahir us ke liye baais-e-barkat bani, kyunke hamare aaj ke matn se agli aayat mein hum dekhte hain ke woh shareer badshah ke khadimon ke saath apne khadimon ko unhi jahaazon mein rawana karne se inkaar kar deta hai. Kaash Yahoshafat ka yeh tajurba Khudawand ke baqi logon ke liye khabardaar hone ka sabab banay ke be-imanon ke saath naahumwaar joay mein na juten. Aksar un logon ka muqaddar ranj o alam ki zindagi banta hai jo izdiwaaj mein ya kisi aur apni marzi ke rishtay mein duniya-daaron ke saath munsalik ho jate hain. Kaash Yasu‘ ke saath hamari muhabbat ka ta‘alluq aisa gehra aur mazboot ho jaye ke hum bhi us ki maanind paak, be-zarar, be-aib aur gunahgaaron se juda rahein, kyunke agar hamari haalat aisi na hui to hamein baarha yeh sunne ki tawaqqo rakhni chahiye ke Khudawand ne tere banay banaye kaam tor diye hain.

2 Kings 6:6

"Loha teirney laga."
Kulhaari ka phal bazahir hamesha ke liye kho gaya tha, aur chunke woh maanga hua tha is liye nabiyon ki jamaat ki saakh ko nuqsan pohanchne ka andesha tha aur yun un ke Khuda ke naam par bhi harf aa sakta tha. Magar insani tawaqqaat ke bar‘aks, Khuda ki qudrat ne lohay ko pani ki gehrai se upar aane aur tairne par majboor kar diya, kyunke jo baatein insaan ke liye namumkin hain woh Khuda ke liye mumkin hain. Main aik aise shakhs ko jaanta hoon jo chand hi baras pehle Masih mein tha aur use aik aisa kaam saunpa gaya jo us ki quwwat se kahin barh kar tha; yeh kaam itna dushwar dikhai deta tha ke use anjaam dene ka khayal hi madhahkha-khez maloom hota tha, lekin use bulaya gaya aur us ka iman barwaqt mazboot hua aur us ne us kaam ko anjaam dene ki haami bhar li. Khuda ne us ke iman ko izzat bakhshi, ghair-mutawaqqa madad bheji gayi aur loha tairne laga. Khudawand ke khandaan ke aik aur fard ko sakht maali tangi ne aa liya; agar woh apni jaidad ke sirf aik hissa ko farokht kar deta to woh tamam mutalibat balkay us se bhi zyada ada kar sakta tha, magar achanak shadeed dabao aa para, us ne doston ko dhoonda magar be-sood. Tab iman use us madadgaar ki taraf le gaya jo kabhi nakaam nahin hota; dekho museebat tal gayi, us ke qadam kushada ho gaye aur loha tairne laga. Aik teesra shakhs apni gunaah-aalood tabiyat ke baais aik nihayat dardnaak muamlay se do-chaar ho gaya; use taleem di gayi, mulaamat ki gayi, khabardaar kiya gaya, da‘wat di gayi aur shafaat tak bhi ki gayi magar sab be-asar raha, purana insaan bohat zor-aawar tha aur sarkash dil narm na hota tha; phir dua ki shadeed tarap paida hui aur thore hi arsay mein aasman se mubarak jawab aa gaya, sakht dil toot gaya aur loha tairne laga. Aziz qaari, aap kis na-umeedi se do-chaar hain? Is shaam aap ki zindagi ka bhaari muamla kaun sa hai? Ise yahan le aaiye! Nabiyon ka Khuda aaj bhi zinda aur taabinda hai; woh apne muqaddason ke liye aaj bhi apni madad tayyar rakhta hai, woh aap ko kisi barkat se mehroom nahin rehne de ga. Rabb-ul-Afwaaj par iman rakhiye, Yasu‘ ke naam ka waasta de kar us ke huzoor jaiye aur phir dekhiye, aap ka loha bhi tairne lage ga; aap bhi Khuda ki ungli ko apne liye ajaaibaat karte dekhenge, aap ke iman ke mutabiq aap ke liye bhi ho jaye ga aur wahi dooba hua loha aik baar phir se tairne lage ga.
7