Hamari zehni tajdeed hi hamari kamyabi ya nakami ka taayyun karti hai. Aap jo kuch banna chahte hain, us ke liye aap ko tarbiyat hasil karni parti hai. Sipahiyon ko fouji tarbiyati camp mein bhejne ki wajah yahi hoti hai ke woh aam shehriyon ki tarah sochna chhor dein aur peshawarana fouji zehan ki manind sochna shuru kar dein. Is tarbiyati camp mein, unhein un ke khandanon, doston aur baqi muashray se alag thalag kar diya jata hai taa ke woh apne is naye tarz-e-fikr par poori tawajjuh markooz kar saken.