Italy ke door-uftada samundar par ek bandargah waqia hai jahan tak pohanchne ke liye ek nihayat tang khari se jana parta hai kyunke is khari ke dono atraaf sanglakh pattharon ki chatanon hain. Mazboot tareen jahaz ya kishtiyan bhi kai martaba in chatanon se takra kar gharq-e-aab ho chuki hain. Raat ki gehri tareeki ke waqt to mahir se mahir kaptan bhi apne jahaz ko is khari mein guzarne mein nakam ho jata hai. Kuch saal qabl is khatre se nipatne ke liye Italy ki navy ne wahan teen bari floodlights lagayein takay kishtiyan aur jahaz raat ki tareeki mein bhi wahan se ba-asani guzar sakein. Taham jahazon ke kaptan aisa nahin karte ke ek roshni tak pohanchne ke baad doosri roshni tak pohanchein aur is ke baad teesri roshni tak pohanchte huay is khari mein nikal jayein. Balkay in teenon lighton ko is tarah se ek seedh mein lagaya gaya ke agar kisi kaptan ko woh teenon lightein ek hi seedh mein dikhayi dein to is ka matlab yeh hai ke woh kaptan apne jahaz ko seedha chalata hua wahan se aasani se nikal jaye ga lekin agar in lighton ki seedh thori si bhi kharab hui ya lights aage peeche dikhayi dein to is ka matlab hai ke jahaz apni track se bhatak gaya hai aur chatanon se takrane ka khatra hai. In teenon lights ka intehayi durust taur par seedh mein hona zaroori tha.
Dua mein Khuda ki rahnumai hasil karne mein bhi yahi usool kar-farma hota hai. Apni zindagi ke jahazon ko mushkilat mein se maharat ke saath guzarne ke liye zaroori hai ke hum Khuda ki muhayya karda teenon lights par apni nazrein markooz rakhein aur is ki marzi ki seedh aur roshni mein barhte jayein. Lekin zaroori baat yeh hai ke yeh teenon awamil baham ek doosre ke saath hum-ahangi mein kaam karein. Jaisa ke Ittalvi bandargah ki teenon roshniyan ek seedh mein hona zaroori tha isi tarah yeh teenon "roohani roshniyan" bhi ek doosre ke saath seedh mein honi chahiyein yani ek doosre ke saath baham munsalik honi chahiyein. Tab hi humein kisi makhsoos simt mein barhne ki wazeh rahnumai hasil ho sakti hai.