Agar hamare dil mein kisi ke khilaf koi chota sa shikwa shikayat bhi ho to woh bhi hamari duaiya zindagi ko bara nuqsan poncha sakta hai jaisa ke Virginia Whitman humein batati hain. Woh humein Kansas City ke Fairfax Airport par ronuma hone wale is waqiye ke baare mein batati hain jo kai saalon pehle wahan par pesh aaya tha. Airport ke security room mein ek aisa kamra tameer karna maqsood tha jahan par bijli se chalne wali tamam cheezon ke dakhil hote hi surkh roshni jal uthe. Aisa kaam anjam dene ke liye unhon ne jadeed tareen tameerati technique ke mahireen ko bulaya aur kaam shuru ho gaya. Kai din guzar gaye aur aakhir-kar kaam mukammal ho jane ki itla de di gayi.
Airport manager ne aa kar aakhri checking ki jis ke baad is kamre ko poori tarah functional qarar de kar istemal ke liye khol diya jana tha. Is kamre ke andar musafiron ki checking ki tarz par kai mukhtalif cheezein layi gayien aur shuru shuru mein to sab theek chalta raha magar thori der baad joon-joon hi bijli ke aalaat kamre mein laye jate surkh roshni jalna band ho jati. Yeh bari kharabi thi kyunke is sari koshish se yahi pata chalana maqsood tha ke kahin koi musafir apne saaz-o-saman mein bijli ke aalaat jahaz mein le na jaye. Manager taish mein aa gaya aur bola ke is kharabi ko furan door kiya jaye magar kafi der tak dhoondne ke baad bhi kharabi ka koi suragh na mila.
Chunancha dobara ukhaar-pachaar ki gayi aur bil-aakhir bari mehnat aur talash ke baad ek taar ke andar kharabi samne aa gayi. Woh kharabi mahaz ek pencil ke nuqte ke barabar taar ke andar cut lag jane ki wajah se pesh aa rahi thi. Is taar ko wapas mazbooti se jorr diya gaya aur yun sara kaam mukammal ho gaya aur manager ne is kaam ko pasand karke kaam shuru kara diya. Is kahani mein dekhte hain ke electrician ki ek mamooli si ghalti ke bais sara kaam chopat ho kar reh gaya tha. Mrs. Whitman is baat se yeh nateeja akhaz karti hain ke "Ek bura khayal, koi tanqeedi soch, koi buri soch, koi burayi, koi shak, hausla-shikni, ya baghavat ka pencil ki nook jitna nishan bhi Khuda ke saath hamare rabte ko munqata kar sakta hai".