Jab hum dua mein jhukte hain to humein Khuda ki taraf se barakaat bhi itni bari hi milti hain jitna bara bartan hamare paas hota hai. Mere ek dost ne ek baar aisa hi ek khwab dekha tha jis se is baat ki poori tarah wazahat ho sakti hai. Khwab mein us ne dekha ke woh aasman par chala gaya hai aur Yeshu aa kar use milta hai aur use aasman ka daura karata hai. Ek jagah par un ke samne ek bara sa darwaza aa jata hai jis ke upar likha hota hai "Godam". Us ne poocha ae Yeshu is darwaze ke peeche kya hai? Yeshu ne kaha aao main tumhein dikhata hoon aur saath hi godam ka darwaza khol diya. Is godam mein bari bari gathriyan pari hui thien. Har gathri ke upar kuch likha hua tha, "Naya dil, azdawaj, aulad, khushi, karobar, taqat" waghaira waghaira. Us ne poocha ke yeh sab kya hai. Yeshu ne jawab mein kaha ke yeh sab iman se ki jane wali duaon ke jawab hain.