یسوع تیری پرستش مَیں کرتا ہی رہوں گا
Yesu teri parastish main karta hi rahoon ga
لیتا ہُوں نام تیرا اور لیتا ہی رہوں گا
Leta hoon naam tera aur leta hi rahoon ga
۱
1
تیرے پیار نے سکھایا اوروں کو پیار کرنا
Tere pyaar ne sikhaya auron ko pyaar karna
مر کے تُو نے دکھایا اوروں کے لئے مرنا
Mar ke tu ne dikhaya auron ke liye marna
جپتا ہُوں نام تیرا اور جپتا ہی رہوں گا
Japta hoon naam tera aur japta hi rahoon ga
۲
2
میرے گُناہ کے بدلے غمگین ہو گیا تُو
Mere gunaah ke badle ghamgeen ho gaya tu
میری صُلح کی خاطر مصلوب ہو گیا تُو
Meri sulah ki khaatir masloob ho gaya tu
جھکتا ہُوں تیرے آگے اور جھکتا ہی رہوں گا
Jhukta hoon tere aage aur jhukta hi rahoon ga
۳
3
زندگی کی روح نے مجھ کو آزاد کر دیا ہے
Zindagi ki Rooh ne mujh ko aazaad kar diya hai
ویراں چمن کو میرے آباد کر دیا ہے
Veeran chaman ko mere aabaad kar diya hai
سجدے کروں مَیں تُجھ کو اور کرتا ہی رہوں گا
Sajde karun main tujh ko aur karta hi rahoon ga
۴
4
تیری سُولی نے میرا ابدی گناہ مٹایا
Teri suli ne mera abdi gunaah mitaya
ٹُوٹا ہُوا تھا رِشتہ پھر باپ سے مِلایا
Toota hua tha rishta phir Baap se milaya
گاؤں میں گیت تیرے اور گاتا ہی رہوں گا
Gaaoon main geet tere aur gaata hi rahoon ga