یسوع میرا چرواہا مَیں اس کے گن گاتا ہوں
Yeshu Mera Chirwaah Main Us Ke Gun Gaata Hoon
چھوٹی اس کی بھیڑ اس کے پیچھے جاتا ہوں
Chhoti Us Ki Bhed Us Ke Peechay Jaata Hoon
1
ہریالی چراگاہ مجھے چراتا ہے
Hariali Charagah Mujhe Charata Hai
اور نرمل سوتوں سے مجھے پلاتا ہے
Aur Narmul Suton Se Mujhe Pilata Hai
وہ آگے آگے چلتا ہے رکھشا بھی کرتا جاتا ہے
Woh Aage Aage Chalta Hai, Raksha Bhi Karta Jaata Hai
اس کی مہربانی سے مَیں سیر ہو جاتا ہوں
Us Ki Meharbani Se Main Seer Ho Jaata Hoon
2
موت کی گھاٹی سے مجھے لے جاتا ہے
Maut Ki Ghati Se Mujhe Le Jaata Hai
جنگل کے خطروں سے مجھے بچاتا ہے
Jangal Ke Khatron Se Mujhe Bachata Hai
وہ مرہم پٹی کرتا ہے ڈھارس بھی مجھے دیتا ہے
Woh Marham Pati Karta Hai, Dhaars Bhi Mujhe Deta Hai
اس کی پیاری سیوا سے مَیں آنند پاتا ہوں
Us Ki Pyari Siwaa Se Main Anand Paata Hoon
3
دشمن کے سامنے وہ میز بچھاتا ہے
Dushman Ke Saamne Woh Mez Bichata Hai
کٹورا آنند سے اب اُمڈا جاتا ہے
Katora Anand Se Ab Umdda Jaata Hai
وہ پاک بھی مجھے کرتا ہے
Woh Paak Bhi Mujhe Karta Hai
اور روح کا دان بھی دیتا ہے
Aur Rooh Ka Daan Bhi Deta Hai
اس کی روز یہ شفقت ہے جے پاتا جاتا ہوں
Us Ki Roz Yeh Shafaqat Hai Je Paata Jaata Hoon