یسوع خوشیوں کا مالک ہے
Yesu khushiyon ka maalik hai
ایمان ہمارا کہتا ہے
Imaan humara kehta hai
اُس گھر میں خوشیاں رہتی ہیں
Us ghar mein khushiyan rehti hain
جس گھر میں یسوع رہتا ہے
Jis ghar mein Yesu rehta hai
1
جب غم کی بارش پڑتی ہے
Jab gham ki baarish padti hai
جب دُکھ کا پانی چڑھتا ہے
Jab dukh ka paani chadhta hai
جو گھر مضبوط نہیں ہوتا
Jo ghar mazboot nahi hota
وہ گھر ہی جلد ڈھتا ہے
Woh ghar hi jald dhadta hai
2
جن لوگوں کے وہ ساتھ نہیں
Jin logon ke woh saath nahi
جس گھر پراُس کا ہاتھ نہیں
Jis ghar pra-us ka haath nahi
اُس گھر کا باسی بےچارا
Us ghar ka baasi bechara
دُکھ دُنیا بھر کے سہتا ہے
Dukh duniya bhar ke sehta hai
3
وہ اُن کو برکت دیتا ہے
Woh un ko barkat deta hai
جو اُس کی مرضی کو سمجھیں
Jo us ki marzi ko samjhein
جس گھر میں اُس کی مرضی ہو
Jis ghar mein us ki marzi ho
برکت کا دریا بہتا ہے
Barkat ka darya behta hai