یہ شب غمز دو مسکرانے کی شب ہے
Yeh shab ghamzado muskaraane ki shab hai
مسرت سے دھومیں مچانے کی شب ہے
Musarrat se dhoomain machaane ki shab hai
1
بنی نوع انساں کی آج بگڑی
Bani noay insaan ki aaj bigdi
یہ مژدہ ہر اِک کو سنانے کی شب ہے
Yeh muzhda har ik ko sunane ki shab hai
2
یسوع کی جلالی ولادت کے صدقے
Yusaa ki jalaali wiladat ke sadqay
خلاصی گناہوں سے پانے کی شب ہے
Khalaasi gunaahon se paane ki shab hai
3
ترنم سے جس کے تھا مسحور عالم
Tarnum se jis ke tha mashhoor aalam
اُسی گیت کو گنگنانے کی شب ہے
Usi geet ko gungnaane ki shab hai
4
خدا سے ہوئے منقطع سلسلے کو
Khuda se hue manqaat silsile ko
نئے طور سے پھر ملانے کی شب ہے
Naye tor se phir milaane ki shab hai
5
حضورِ مسیح آج بیت الحم میں
Huzoor-e-Masiha aaj Bethlehem mein
عقیدت سے سر کو جھکانے کی شب ہے
Aqeedat se sar ko jhukaane ki shab hai