یہ رات نجات ، یہ رات حیات
Yeh raat nijaat, yeh raat hayaat
اسی سے ہے اسی میں ہے ، ہماری بے ثباتی کو ثبات
Issi se hai issi mein hai, hamari be-sabati ko sabat
خدا نے ہم کو بخشی کیسی چاہتوں کی رات
Khuda ne hum ko bakhshi kaisi, chahaton ki raat
محبتوں ، رفاقتوں ، مسرتوں کی رات
Muhabbaton, rafaqaton, musarraton ki raat
1
ستاروں نے گواہی دی فضاؤں نے سُنا
Sitarein ne gawahi di, fazaaon ne suna
فرشتوں نے بھی گا کے چرواہوں سے یہ کہا
Farishton ne bhi ga ke churwahon se yeh kaha
2
عقیدت سے سب کرنے آئے چرنی کو سلام
Aqeedat se sab karne aaye Charni ko salaam
مجوسیوں کے تحفوں میں بھی ہے یہی پیغام
Majusiyo ke tohfon mein bhi hai yehi paigham
3
تجسم ہے مسیح کا گنگناتی ہے یہ رات
Tajassum hai Maseeh ka, gungunati hai yeh raat
اب ہم کو بھی محبت سے بُلاتی ہے یہ رات
Ab hum ko bhi mohabbat se bulati hai yeh raat