تجلی بے پناہ اِک مہرباں ہونے والی ہے
Tajalli be panaah ik mehrbaan honay wali hai
عزیزو یہ زمیں اب آسماں ہونے والی ہے
Aziz-o yeh zameen ab aasman honay wali hai
1
وہ چرنی کہ جسے اب تک کسی نےبھی نہیں دیکھا
Woh charni ke jise ab tak kisi ne bhi nahi dekha
وہ چرنی محورِ کون و مکاں ہونے والی ہے
Woh charni mahvor-e kaun o makaan honay wali hai
2
فرشتے آسمانوں سے اُتر کے آنے والے ہیں
Farishte aasmaanon se utar ke aanay walay hain
یہ دھرتی واقعی جنت نشاں ہونے والی ہے
Yeh dharti waqai jannat nishaan honay wali hai
3
یہ آنکھوں میں جو ٹھہری ہے اندھیری رات صدیوں سے
Yeh aankhon mein jo thehri hai andheri raat sadiyon se
گئے وقتوں کی اب یہ داستاں ہونے والی ہے
Gayay waqton ki ab yeh dastaan honay wali hai