صُبح کے وقت کریم خُدا
Subah ke waqt Kareem Khuda
میں تیری طرف دیکھو ں گا
Main teri taraf dekhun ga
سُن میری دُعا کی آواز
Sun meri dua ki aawaaz
قبول کر بندے کی نیا ز
Qabool kar bande ki niyaaz
۱
1
جس جگہ ہے مسیح شفیع
Jis jagah hai Maseeh Shafee
خُدا کے دہنے ہاتھ رفیع
Khuda ke dahne haath rafee
اور ربّ کی ہے جو پاک درگاہ
Aur Rabb ki hai jo paak dargah
ہے وہیں میری بھی نگاہ
Hai wahi meri bhi nigaah
۲
2
جو ہیں شریر اور بے شعور
Jo hain shareer aur be shuoor
اور تُجھ سے رہتے ہیں دُور
Aur tujh se rehte hain door
ہیں جتنے جھوٹے اور بدکار
Hain jitne jhoote aur badkaar
وہ سب ہیں تجھ کو ناگوار
Woh sab hain tujh ko naagawaar
۳
3
تیرے فضائل کی بہتات
Tere fazaail ki bohatat
ہے میرے اوپر دِن اور رات
Hai mere ooper din aur raat
اور میں مشتاق ہوں اَے خُدا
Aur main mushtaq hoon ae Khuda
تیری مقُدس ہیکل کا
Teri muqaddas haikal ka
۴
4
پَس تیرے گھر میں جاوں گا
Pas tere ghar mein jaoon ga
اور تیری ثنا گاوں گا
Aur teri sana gaoon ga
میں شوق سے کروں گا سجود
Main shauq se karoon ga sujood
تیرے حضور اَے پاک معبود
Tere huzoor ae paak ma’bood