شکر کرو رب کا
Shukar karo Rabb ka
وہ جو مالک ہے سب کا
Woh jo malik hai sab ka
سب اُس کی تعریفیں گاؤ
Sab uski tareefain gaoo
آؤ اُس کے حضور میں آؤ
Aao uske huzoor mein aao
1
نامِ مقدس پاک یہوواہ ہے
Naam-e-muqaddas paak Yehowa hai
اُس کو جو چاہتا ہے شادمان ہوتا ہے
Usay jo chahta hai shaadmaan hota hai
دیدار اُس کا جب روح کو ہوتا ہے
Deedaar uska jab rooh ko hota hai
خوشیوں سے بھرتا ہے قوت وہ دیتا ہے
Khushiyon se bharta hai quwwat woh deta hai
ہیں اُس کے کام نرالے
Hain uske kaam niraalay
ہے اُس کا پیار انوکھا
Hai uska pyaar anokha
2
وہ ہی خداوند ہے خدا وہ ہمارا ہے
Woh hi Khudawan hai, Khuda woh hamara hai
ہاتھوں سے اپنے اُس نے سب کچھ بنایا ہے
Haathon se apne us ne sab kuch banaya hai
اپنے ارادوں کو وہ یاد رکھتا ہے
Apne iradon ko woh yaad rakhta hai
اور اپنے وعدوں کو پورا وہ کرتا ہے
Aur apne waadon ko poora woh karta hai
اُس نے جو بھی فرمایا
Us ne jo bhi farmaya
وہ کر کے ہے دکھلایا
Woh kar ke hai dikhlaaya