پاک ماں مریم بزرگی دو جہاں میں آپ کی
Paak Maa Mariam Buzurgi Do Jahaan Mein Aap Ki
اس جہاں میں دھوم ہے اور آسمان میں آپ کی
Is Jahaan Mein Dhoom Hai Aur Aasmaan Mein Aap Ki
1
منتخب ہو کر تمہیں درجہ ملا مادرِ خدا
Muntakhab Ho Kar Tumhein Darja Mila Madar-e-Khuda
کوئی نہ تھا بالمقابل اَور شاں میں آپ کی
Koi Na Tha Balmaqabil Aur Shaan Mein Aap Ki
2
کر دیا تھا پاک پہلے روح القدس نے تمہیں
Kar Diya Tha Paak Pehle Rooh-ul-Qudus Ne Tumhein
روح ہوئی بے داغ داخل شکم ماں میں آپ کی
Rooh Hui Be Daagh Daakhil Shikam Maa Mein Aap Ki
3
کُل جہاں کی عورتوں میں سے مبارک آپ ہیں
Kul Jahaan Ki Auraton Mein Se Mubarak Aap Hain
صفت آ سکتی نہیں مطلق بیاں میں آپ کی
Sifat Aa Sakti Nahi Mutlaq Biyan Mein Aap Ki
4
تم اُمید و زندگی ہو ہم اسیروں کی پناہ
Tum Umeed o Zindagi Ho Hum Aseeroon Ki Panaah
ہے سفارش کی ضرورت آسماں میں آپ کی
Hai Safarish Ki Zarurat Aasmaan Mein Aap Ki
5
تاکہ ہم یسوع مسیح کے وعدوں کے لائق بنیں
Taake Hum Yisoo Masiha Ke Wadon Ke Laayak Banein
وہ دُعا پُر اثر جو یسوع کی شاں میں آپ کی
Woh Dua Pur Asar Jo Yisoo Ki Shaan Mein Aap Ki