پاک کلام خُدا کا
Paak Kalaam Khuda ka
کامل ہے اور سچا
Kaamil hai aur sachcha
راحت کا ہے چشمہ
Raahat ka hai chashma
اور آسمانی رستہ
Aur aasmaani rasta
۱
1
دشمن کے مُقابل
Dushman ke muqaabil
اُسی سے ہے حاصل
Usi se hai haasil
مدد اُستواری
Madad ustuwari
زور اور فتح یابی
Zor aur fatah yaabi
۲
2
گرچہ سخت طوفان ہو
Garchay sakht toofan ho
اور دِل پریشان ہو
Aur dil pareshan ho
وہ ہے راہ دکھاتا
Woh hai raah dikhata
اور حفاظت کرتا
Aur hifazat karta
۳
3
گر ہم دِل سے مانیں
Gar hum dil se maanen
یہ مقدس باتیں
Yeh muqaddas baatein
پائیں گے روزانہ
Paayenge rozana
برکت کا خزانہ
Barkat ka khazana
۴
4
سفر میں سہارا
Safar mein sahaara
اُس پر ہے ہمارا
Us par hai hamara
جب ہو ساعت موت کی
Jab ho sa’at-e maut ki
اُس سے ہے تسلی
Us se hai tasalli
۵
5
شرع اُس کی مانیں
Shari’ah us ki maanen
قدر اُس کی جانیں
Qadr us ki jaanen
تاکہ مِلے راحت
Taake mile raahat
اور خُدا کی قربت
Aur Khuda ki qurbat