مجھے قوت ملتی ہے یسوع کے نام سے
Mujhe quwwat milti hai Yaso'o ke naam se
مجھے شکتی ملتی ہے یسوع کے نام سے
Mujhe shakti milti hai Yaso'o ke naam se
(1)
شر کی روحانی فوجوں پر
Sharr ki roohani foujon par
موذی کی ساری چالوں پر
Maudhi ki saari chaalon par
جیون کی ساری شیخی پر
Jiwan ki saari shikayaton par
دل کے برے خیالوں پر
Dil ke bure khayaalon par
مجھے فتح ملتی ہے یسوع کے نام سے
Mujhe fatah milti hai Yaso'o ke naam se
(2)
گھڑیاں ہوں نا امیدی کی
Ghadiyan hun na umeedi ki
یا اداسیوں کا پہرہ ہو
Ya udaasiyon ka pehra ho
فکروں کی چاہے کثرت ہو
Fikron ki chaahe kisar't ho
یا مصیبتوں نے گھیرا ہو
Ya museebaton ne ghera ho
مجھے راحت ملتی ہے یسوع کے نام سے
Mujhe raahat milti hai Yaso'o ke naam se
(3)
یزداں سے بات کرنے کی
Yazdaan se baat karne ki
اسے حالِ دل سنانے کی
Use haal-e-dil sunane ki
اس کے حضور میں آ کر
Us ke huzoor mein aa kar
اسے اپنا باپ کہنے کی
Use apna baap kehne ki
مجھے جرأت ملتی ہے یسوع کے نام سے
Mujhe jurrat milti hai Yaso'o ke naam se