میں چراغ ہوں یسو ع نام کا
Mein chiraagh hoon Yeshu' naam ka
جلتا ہوں اس کی شان میں
Jalta hoon uski shaan mein
مجھے کیا بجھائیں گی آندھیاں
Mujhe kya bujhain gi andhiyan
میں ہوں پاک روح کی امان میں
Mein hoon paak rooh ki amaan mein
1
میں بھرا ہوں اس کے کلام سے
Mein bhara hoon uske kalaam se
اور زندگی کے پیغام سے
Aur zindagi ke paigham se
ہے ایمان کی آگ لگی ہوئی
Hai imaan ki aag lagi hui
میری روح میں میری جان میں
Meri rooh mein, meri jaan mein
2
میں نور کا فرزند ہوں
Mein noor ka farzand hoon
روحِ خدا کی پسند ہوں
Rooh-e-Khuda ki pasand hoon
میری روشنی نے جنم لیا
Meri roshni ne janam liya
اک راستی کے مکان میں
Ek raasti ke makaan mein