کلام مقدس کی باتیں سنیں گے
1 / 8
کلام مقدس کی باتیں سنیں گے
Kalaam Muqaddas Ki Baatain Suneinge
انہی کے مطابق ہمیشہ چلیں گے
Inhi Ke Mutabiq Hamesha Chaleinge
کلام مقدس میری زندگی ہے
Kalaam Muqaddas Meri Zindagi Hai
میری راہ کے واسطے روشنی ہے
Meri Raah Ke Wastay Roshni Hai
کلام مقدس میں پورا بیاں ہے
Kalaam Muqaddas Mein Poora Bayan Hai
خدا کی محبت کہ کیا بیکراں ہے
Khuda Ki Mohabbat Ke Kya Bekaraan Hai
روحِ پاک سے ہم یہ توفیق پائیں
Rooh-e-Paak Se Hum Yeh Taufiq Paayein
کہ سن کر سمجھ کر عمل میں بھی لائیں
Ke Sun Kar Samajh Kar Amal Mein Bhi Laayein
0 1 2 3
© 2025–2026 Fakhta.org — All rights reserved.