ابنِ خدا کے جسم میں آنے کی رات ہے
1 / 8
ابنِ خدا کے جسم میں آنے کی رات ہے
Ibn-e-Khuda ke jism mein aane ki raat hai
سب کو خدا کا پیار بتانے کی رات ہے
Sab ko Khuda ka pyaar batane ki raat hai
ظلمت کا دَور ختم ہو گیا جہان سے
Zulmat ka daur khatam ho gaya jahan se
خوشیوں کے راگ چھیڑنے گانے کی رات ہے
Khushiyon ke raag chhedne gaane ki raat hai
جو لوگ ہیں گناہوں کی غفلت میں سو رہے
Jo log hain gunahon ki ghafilat mein so rahe
اُن کو ہلا ہلا کے جگانے کی رات ہے
Unko hila hila ke jagane ki raat hai
کر کے خدا کا یاد پیامِ سلامتی
Kar ke Khuda ka yaad paigham-e-salamatii
تقصیر دوسروں کی بھلانے کی رات ہے
Taqseer doosron ki bhulane ki raat hai
0 1 2 3
© 2025–2026 Fakhta.org — All rights reserved.