ابنِ خدا کی آج ولادت کی عید ہے
Ibn-e-Khuda ki aaj wiladat ki eid hai
شاہ و گدا کے واسطے روزِ سعید ہے
Shaah o gada ke waaste roz-e-saeed hai
1
وہ ہے عجیب اور مشیر و قدیر یاہ
Woh hai ajeeb aur musheer o qadeer yaah
بے مثل بے نظیر ہے ابنِ وحید ہے
Bé-misal bé-nazir hai Ibn-e-Waheed hai
2
آئے گا وہ جہان میں کہتے تھے سب نبی
Aayega woh jahan mein, kehte thay sab nabi
جس کی کبھی شنید تھی آج اس کی دید ہے
Jis ki kabhi sheneed thi, aaj us ki deed hai
3
حاصل کرے گا آج ہی جنت کو بے گماں
Haasil karega aaj hi jannat ko bé gumaan
ہر اک گنہگار جو اس کا مرید ہے
Har ek gunahgar jo us ka mureed hai
4
ضامن ہے عاصیوں کا خدا کے حضور میں
Zaamin hai aasiyaan ka Khuda ke huzoor mein
ارض و سما کا ایک وہ منجی فرید ہے
Arz o sama ka aik woh manji fareed hai
5
کس پیار سے بلاتا ہے وہ عاصیوں کو آج
Kis pyaar se bulaata hai woh aasiyaan ko aaj
پڑھ کر ذرا تُو دیکھ جو عہدِ جدید ہے
Parh kar zara tu dekh jo ahd-e-jadeed hai
6
جو آئے گنہگار اُسے وہ نکال دے
Jo aaye gunahgar, usay woh nikaal de
یہ اُس کی ذات پاک سے بالکل بعید ہے
Yeh us ki zaat paak se bilkul badeed hai