ہالیلویاہ خُدا کی حمد ہو
Halleluyaah Khuda ki hamd ho
ہالیلویاہ خُداوند کی حمد ہو
Halleluyaah Khudawand ki hamd ho
۱
1
اور رُوح اور دُلہن کہتی ہیں آ
Aur rooh aur dulhan kehti hain aa
اور جو سُنے وہ کہے آ
Aur jo sunay woh kahe aa
جو پیاسا ہو وہ بھی آئے
Jo pyaasa ho woh bhi aaye
آبِ حیات مُفت میں پائے
Aab-e-hayat muft mein paaye