ہالیلویاہ ہالیلویاہ کہہ اٹھے ارض و سما
Hallelujah, Hallelujah, keh uthay arz o samaa
درحقیقت قبر میں سے جی اٹھا ابنِ خدا
Dar haqeeqat qabr mein se jee utha Ibne Khuda
(1)
ناکام ہو گئے دمدمے ابلیس کے ، ابلیس کے
Nakaam ho gaye damdame Iblees ke, Iblees ke
قبر پر جب ناگہاں اک زلزلہ برپا ہوا
Qabr par jab nagehaan ek zilzila barpa hua
(2)
نور پھیلا خوب چرچے ہو رہے ہیں سو بہ سو
Noor phaila, khoob charche ho rahe hain so baha so
مر کے جینے کی مسیح نے آج کی ہے ابتدا
Mar ke jeene ki Maseeh ne aaj ki hai ibteda
(3)
جس کے جی اٹھنے سے کتنے اور مردے جی اٹھے
Jis ke jee uthne se kitne aur murde jee uthay
وہ زمیں میں دفن رہتا یہ کبھی ممکن نہ تھا
Woh zameen mein dafn rehta, yeh kabhi mumkin na tha