دنیا کے سارے معبود محض بت ہیں
Duniya ke saare mabood maaz but hain
امتوں کے سارے معبود محض بت ہیں
Ummaton ke saare mabood maaz but hain
وہ سنتے نہیں ، وہ دیکھتے نہیں
Woh sunte nahi, woh dekhte nahi
وہ چھوتے نہیں ، وہ محض بت ہیں
Woh chhote nahi, woh maaz but hain
(۱)
لیکن ہمارا خدا
Lekin hamara Khuda
وہ سنتا بھی ہے ، وہ دیکھتابھی ہے
Woh sunta bhi hai, woh dekhta bhi hai
وہ چھوتا بھی ہے کیونکہ زندہ ہے وہ
Woh chhota bhi hai, kyunke zinda hai woh
(۲)
وہی ہے مشکل کشا
Wohi hai mushkil kusha
وہ شفا دیتا ہے ، وہی بندھن کھولتا ہے
Woh shifa deta hai, wohi bandhan kholta hai
وہی راہ دکھاتا ہے کیونکہ زندہ ہے وہ
Wohi raah dikhaata hai kyunke zinda hai woh
(۳)
وہی ہے ابدی چٹان
Wohi hai abadi chataan
وہی پیار کرتا ہے ، وہی ساتھ رہتا ہے
Wohi pyaar karta hai, wohi saath rehta hai
وہی معاف کرتا ہے کیونکہ زندہ ہے وہ
Wohi maaf karta hai kyunke zinda hai woh
(۴)
وہی ہے فاتح خدا
Wohi hai faateh Khuda
وہی سب کا والی ہے ، اس نے فتح پالی ہے
Wohi sab ka wali hai, usne fatah paali hai
اس کی قبر خالی ہے کیونکہ زندہ ہے وہ
Uski qabr khali hai kyunke zinda hai woh