اے رب تُو گزرے وقتوں میں
Ae Rabb tu guzray waqtoun mein
ہماری تھا پناہ
Humari tha panah
تُو آفت میں محافظ تھا
Tu aafat mein muhafiz tha
اور دُکھ میں آرام گاہ
Aur dukh mein aaraam gaah
۱
1
تیری پناہ میں محفوظ
Teri panah mein mehfooz
سب تیرے اِیماندار
Sab tere eemaan-daar
اور تیرا قوی بازو ہے
Aur tera qawi baazu hai
اُن سَب کا مددگار
Un sab ka madadgaar
۲
2
پیشتر جہان کی ہستی سے
Pishtar jahan ki hasti se
جب کچھ موجُود نہ تھا
Jab kuch maujood nahin tha
ازل سے تُو یہواہ ہے
Azal se tu Yehwah hai
اور رہے گا سَدا
Aur rahe ga sada
۳
3
تیرے حُضور میں سال ہزار
Tere huzoor mein saal hazaar
ایک پہر جیسے رات
Ek pehar jaise raat
ایک لمحے میں گزرتے ہیں
Ek lamhe mein guzartay hain
اِس عالم کے اوقات
Is aalam ke auqaat
۴
4
زمانوں کے سیلاب میں سب
Zamanoun ke seelaab mein sab
اِنسان بہہ جاتے ہیں
Insaan beh jaate hain
اور خواب کی مانند بنی خاک
Aur khwab ki maanind bani khaak
جلد گُزر جاتے ہیں
Jald guzr jaate hain
۵
5
خُدایا گُزرے وقتوں میں
Khudaya guzray waqtoun mein
تُو رہا تھا ہمراہ
Tu raha tha humraah
اَب زندگی بھر مُحافظ ہو
Ab zindagi bhar muhafiz ho
آخر میں پناہ گاہ
Aakhir mein panah gaah