پہاڑوں نے بھی مانا ہے یہوواہ یری کا فرماں
پہاڑوں نے بھی مانا ہے
Pahaaron ne bhi mana hai
یہوواہ یر ی کا فرماں
Yahweh Yireh ka farmaan
سمندروں نے بھی مانا ہے
Samundron ne bhi mana hai
یہوواہ یری کا فرماں
Yahweh Yireh ka farmaan
(1)
اس کے فرمانے سے ہو جاتے
Is ke farmane se ho jaate
پہاڑ بھی میدان ہیں
Pahaar bhi medaan hain
اس کے فرمانے سے ہو جاتے
Is ke farmane se ho jaate
زندہ وہ بھی جو بے جان ہیں
Zinda woh bhi jo be-jaan hain
بادشاہوں نے بھی مانا ہے
Baadshahon ne bhi mana hai
(2)
یہ درخت بھی جھکتے ہیں سارے
Yeh darakht bhi jhukte hain saare
یہوواہ خدا کے حضور
Yahweh Khuda ke huzoor
آسمانوں کے لشکر بھی سارے
Aasmanon ke lashkar bhi saare
جھکتے ہیں خدا کے حضور
Jhukte hain Khuda ke huzoor
ساری دنیا نے بھی مانا ہے
Saari duniya ne bhi mana hai
(3)
اس کے فرمانے سے کھل جاتے
Is ke farmane se khul jaate
مرجھا جاتے ہیں جو پھول
Murjha jaate hain jo phool
اس کے بیٹے نے اپنے لہو سے
Is ke bete ne apne lahoo se
خرید لیا ہم کو مول
Kharid liya hum ko mol
ذرے ذرے نے بھی مانا ہے
Zarre zarre ne bhi mana hai
© 2025–2026 Fakhta.org — All rights reserved.